andheri bastiyaan raushan manaare doob jaayenge
zameen roti rahi to shehar saare doob jaayenge
jhuls denge jo sehraai hawaaein reshmi saaye
dhuen ke zahar mein rangeen nazaare doob jaayenge
abhi se kashtiyaan sab sahilon ki samt rukh moren
ki jab toofaan aaya phir ishaare doob jaayenge
badhegi un ki lau koi agar seeche hararat se
barasti barf mein saare sharaare doob jaayenge
yoonhi palte rahe gar hasht-paa is jheel ki tah mein
kisi din satah par hanste shikaare doob jaayenge
fareb-e-maah-o-anjum se nikal jaayen to achha hai
zara suraj ne karvat li ye taare doob jaayenge
chataanon par karein kanda nishaani apne hone ki
sunhare kaaghazon ke goshwaare doob jaayenge
अँधेरी बस्तियाँ रौशन मनारे डूब जाएँगे
ज़मीं रोती रही तो शहर सारे डूब जाएँगे
झुलस देंगी जो सहराई हवाएँ रेशमी साए
धुएँ के ज़हर में रंगीं नज़ारे डूब जाएँगे
अभी से कश्तियाँ सब साहिलों की सम्त रुख़ मोड़ें
कि जब तूफ़ान आया फिर इशारे डूब जाएँगे
बढ़ेगी उन की लौ कोई अगर सींचे हरारत से
बरसती बर्फ़ में सारे शरारे डूब जाएँगे
यूँही पलते रहे गर हशत-पा इस झील की तह में
किसी दिन सतह पर हँसते शिकारे डूब जाएँगे
फ़रेब-ए-माह-ओ-अंजुम से निकल जाएँ तो अच्छा है
ज़रा सूरज ने करवट ली ये तारे डूब जाएँगे
चटानों पर करें कंदा निशानी अपने होने की
सुनहरे काग़ज़ों के गोश्वारे डूब जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Akbar Abbas
our suggestion based on Ali Akbar Abbas
As you were reading Shehar Shayari Shayari