ab koi gham hi nahin hai jo rulaaye mujh ko | अब कोई ग़म ही नहीं है जो रुलाए मुझ को - Ali Imran

ab koi gham hi nahin hai jo rulaaye mujh ko
aisa mausam hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

zakham mein dard nahin hai jo uthaaye teesen
aankh mein nam hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

chaand naaraz nahin hai na sitaare hain khafa
raat barham hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

mujh mein sab kuchh hi mukammal hai to kis baat ka dukh
kuchh kahi kam hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

tere honton se mere zakham chahak uthhenge
ye vo marham hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

ai mere khwaab tu toote main nahin tootunga
tujh mein vo dam hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

tere jaane pe bhi afsurda nahin hai koi
tera maatam hi nahin hai jo rulaaye mujh ko

अब कोई ग़म ही नहीं है जो रुलाए मुझ को
ऐसा मौसम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

ज़ख़्म में दर्द नहीं है जो उठाए टीसें
आँख में नम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

चाँद नाराज़ नहीं है न सितारे हैं ख़फ़ा
रात बरहम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

मुझ में सब कुछ ही मुकम्मल है तो किस बात का दुख
कुछ कहीं कम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

तेरे होंटों से मिरे ज़ख़्म चहक उट्ठेंगे
ये वो मरहम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

ऐ मिरे ख़्वाब तू टूटे मैं नहीं टूटूँगा
तुझ में वो दम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

तेरे जाने पे भी अफ़्सुर्दा नहीं है कोई
तेरा मातम ही नहीं है जो रुलाए मुझ को

- Ali Imran
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Imran

As you were reading Shayari by Ali Imran

Similar Writers

our suggestion based on Ali Imran

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari