pehle bhi kaun saath tha | पहले भी कौन साथ था

  - Ali Wijdan

pehle bhi kaun saath tha
ab jo koi nahin raha

waqt sitam-zareef tha
waqt ka phir bhi kya gila

kaisi ajeeb shaam thi
kaisa ajeeb waqia

kehne ko kah rahe hain log
main ne tujhe bhula diya

qissa ye hai ki main tujhe
dil se kahaan bhula saka

tark-e-taalluqaat ka
baaki hai ek marhala

baaki hai ab bhi zehan mein
khwaabon ka ek silsila

ishq se nisbato'n mein hai
mere safar ka raasta

shaam hui to chal pada
hijr-zadon ka qaafila

koh-kani se rabt hai
naam-o-nasab ka zikr kya

पहले भी कौन साथ था
अब जो कोई नहीं रहा

वक़्त सितम-ज़रीफ़ था
वक़्त का फिर भी क्या गिला

कैसी अजीब शाम थी
कैसा अजीब वाक़िआ'

कहने को कह रहे हैं लोग
मैं ने तुझे भुला दिया

क़िस्सा ये है कि मैं तुझे
दिल से कहाँ भुला सका

तर्क-ए-तअल्लुक़ात का
बाक़ी है एक मरहला

बाक़ी है अब भी ज़ेहन में
ख़्वाबों का एक सिलसिला

इश्क़ से निस्बतों में है
मेरे सफ़र का रास्ता

शाम हुई तो चल पड़ा
हिज्र-ज़दों का क़ाफ़िला

कोह-कनी से रब्त है
नाम-ओ-नसब का ज़िक्र क्या

  - Ali Wijdan

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Wijdan

As you were reading Shayari by Ali Wijdan

Similar Writers

our suggestion based on Ali Wijdan

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari