jungle bhi the dariya bhi | जंगल भी थे दरिया भी

  - Ali Wijdan

jungle bhi the dariya bhi
saath chala ik rasta bhi

mehroomi ne khwaabon ka
jhuls diya hai chehra bhi

rooth gai khushboo meri
chhod gaya hai saaya bhi

tu har shakhs ka dukh baante
tera dukh koi samjha bhi

ik lamha tha hasil-e-umr
yaad nahin vo lamha bhi

yaad-e-safar mein saath rahi
yaad thi mera rasta bhi

soona shehar udaas gali
gali mein tha ik saaya bhi

maazi mujh mein zinda hai
main hoon rooh-e-farda bhi

जंगल भी थे दरिया भी
साथ चला इक रस्ता भी

महरूमी ने ख़्वाबों का
झुलस दिया है चेहरा भी

रूठ गई ख़ुशबू मेरी
छोड़ गया है साया भी

तू हर शख़्स का दुख बाँटे
तेरा दुख कोई समझा भी

इक लम्हा था हासिल-ए-उम्र
याद नहीं वो लम्हा भी

याद-ए-सफ़र में साथ रही
याद थी मेरा रस्ता भी

सूना शहर उदास गली
गली में था इक साया भी

माज़ी मुझ में ज़िंदा है
मैं हूँ रूह-ए-फ़र्दा भी

  - Ali Wijdan

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Wijdan

As you were reading Shayari by Ali Wijdan

Similar Writers

our suggestion based on Ali Wijdan

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari