haseen khwaab safar ke dikha gaya hai kaun | हसीन ख़्वाब सफ़र के दिखा गया है कौन

  - Ali Wijdan

haseen khwaab safar ke dikha gaya hai kaun
badan mein aag si yaaro laga gaya hai kaun

udaas raat mein taare ubhar ke doob gaye
ye aaj bazm-e-tarab se chala gaya hai kaun

padi hui thi jo banjar zameen muddat se
hunar ke ped ye us mein ugaa gaya hai kaun

na ab ke mausam-e-gul ka bhi inkishaaf hua
diye jala ke ye aankhen bujha gaya hai kaun

dil-o-nazar ke karishme na dekhte vijdaan
talab ye ishq ki dil mein badha gaya hai kaun

हसीन ख़्वाब सफ़र के दिखा गया है कौन
बदन में आग सी यारो लगा गया है कौन

उदास रात में तारे उभर के डूब गए
ये आज बज़्म-ए-तरब से चला गया है कौन

पड़ी हुई थी जो बंजर ज़मीन मुद्दत से
हुनर के पेड़ ये उस में उगा गया है कौन

न अब के मौसम-ए-गुल का भी इंकिशाफ़ हुआ
दिए जला के ये आँखें बुझा गया है कौन

दिल-ओ-नज़र के करिश्मे न देखते 'विज्दान'
तलब ये इश्क़ की दिल में बढ़ा गया है कौन

  - Ali Wijdan

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Wijdan

As you were reading Shayari by Ali Wijdan

Similar Writers

our suggestion based on Ali Wijdan

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari