aatish-e-ishq mein jalta raha bujhta raha dil | आतिश-ए-इश्क़ में जलता रहा बुझता रहा दिल

  - Ali Wijdan

aatish-e-ishq mein jalta raha bujhta raha dil
ranj-e-betaab se dariya kabhi sehra raha dil

ik safar haan vo safar paanv ki zanjeer bana
ba'ad ai yaar tiri yaad mein jalta raha dil

mehfil-aaraai ki khwaahish thi so dil us ke sabab
mehfil-aara raha veeraan raha tanhaa raha dil

mauja-e-khoon kisi seene mein ruka tha kal raat
dard uthata raha chubhta raha dukhta raha dil

आतिश-ए-इश्क़ में जलता रहा बुझता रहा दिल
रंज-ए-बेताब से दरिया कभी सहरा रहा दिल

इक सफ़र हाँ वो सफ़र पाँव की ज़ंजीर बना
बा'द ऐ यार तिरी याद में जलता रहा दिल

महफ़िल-आराई की ख़्वाहिश थी सो दिल उस के सबब
महफ़िल-आरा रहा वीराँ रहा तन्हा रहा दिल

मौजा-ए-ख़ूँ किसी सीने में रुका था कल रात
दर्द उठता रहा चुभता रहा दुखता रहा दिल

  - Ali Wijdan

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Wijdan

As you were reading Shayari by Ali Wijdan

Similar Writers

our suggestion based on Ali Wijdan

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari