savaad-e-shauq-o-talab gham ka baab aisa tha
jala ke khaak kiya iztiraab aisa tha
bahut hi talkh tha ya'ni sharaab aisa tha
sawaal yaad nahin hai jawaab aisa tha
tamaazton ne gham-e-hijr ki ujaad diya
badan tha phool sa chehra kitaab aisa tha
main kaanp kaanp gaya hoon b-naam-e-sood-o-ziyaan
shumaar-e-zakhm-e-hunar ka jawaab aisa tha
sulag rahe the mere hont jal raha tha badan
zabaan se kuchh na kaha tha hijaab aisa tha
meri talab hi bani mere paanv ki zanjeer
bhatk raha hoon main ab tak saraab aisa tha
jhuls ke rah gaya chehra tamaam khwaabon ka
khumaar-e-tishna-labi ka azaab aisa tha
vo ahad-e-gumrahi kehta hai us ki marzi hai
jo dekh le tu tadap jaaye khwaab aisa tha
bahut hi zo'm tha apni mohabbaton pe use
nibha saka na wafa kaamyaab aisa tha
rafaqaton ka fusoon tootna hi tha vijdaan
safar mein chhod gaya hai kharab aisa tha
सवाद-ए-शौक़-ओ-तलब ग़म का बाब ऐसा था
जला के ख़ाक किया इज़्तिराब ऐसा था
बहुत ही तल्ख़ था या'नी शराब ऐसा था
सवाल याद नहीं है जवाब ऐसा था
तमाज़तों ने ग़म-ए-हिज्र की उजाड़ दिया
बदन था फूल सा चेहरा किताब ऐसा था
मैं काँप काँप गया हूँ ब-नाम-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ
शुमार-ए-ज़ख़्म-ए-हुनर का जवाब ऐसा था
सुलग रहे थे मिरे होंट जल रहा था बदन
ज़बाँ से कुछ न कहा था हिजाब ऐसा था
मिरी तलब ही बनी मेरे पाँव की ज़ंजीर
भटक रहा हूँ मैं अब तक सराब ऐसा था
झुलस के रह गया चेहरा तमाम ख़्वाबों का
ख़ुमार-ए-तिश्ना-लबी का अज़ाब ऐसा था
वो अहद-ए-गुमरही कहता है उस की मर्ज़ी है
जो देख ले तू तड़प जाए ख़्वाब ऐसा था
बहुत ही ज़ो'म था अपनी मोहब्बतों पे उसे
निभा सका न वफ़ा कामयाब ऐसा था
रफ़ाक़तों का फ़ुसूँ टूटना ही था 'विज्दान'
सफ़र में छोड़ गया है ख़राब ऐसा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Wijdan
our suggestion based on Ali Wijdan
As you were reading Gulshan Shayari Shayari