kaha tha main ne kya tu ne suna kya | कहा था मैं ने क्या तू ने सुना क्या

  - Ali Wijdan

kaha tha main ne kya tu ne suna kya
magar is baat ka tujh se gila kya

jo mere karb se ghaafil raha tha
usi ko ab kahoon dard-aashna kya

yahi thehri hai kashti doob jaaye
to aise mein khuda kya nakhuda kya

dilon ke raabte baaki hain jaanaan
to phir ye darmiyaan ka fasla kya

gali-koochon mein sannaata hai kaisa
ali-'vijdaan aashiq mar gaya kya

कहा था मैं ने क्या तू ने सुना क्या
मगर इस बात का तुझ से गिला क्या

जो मेरे कर्ब से ग़ाफ़िल रहा था
उसी को अब कहूँ दर्द-आश्ना क्या

यही ठहरी है कश्ती डूब जाए
तो ऐसे में ख़ुदा क्या नाख़ुदा क्या

दिलों के राब्ते बाक़ी हैं जानाँ
तो फिर ये दरमियाँ का फ़ासला क्या

गली-कूचों में सन्नाटा है कैसा
'अली-'विज्दान' आशिक़ मर गया क्या

  - Ali Wijdan

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Wijdan

As you were reading Shayari by Ali Wijdan

Similar Writers

our suggestion based on Ali Wijdan

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari