aankhon ka poora shehar hi sailaab kar gaya
ye kaun mujh mein nazm ki soorat utar gaya
jungle mein teri yaad ke jugnoo chamak uthe
maidaan siyaah-shab ka ujaalon se bhar gaya
warna siyaah raat mein jhulsa hua tha main
ye to tumhaari dhoop mein kuchh kuchh nikhar gaya
jhooma thirakte naachte jodon mein kuchh ghadi
dil phir na jaane kaisi udaasi se bhar gaya
dono ana mein choor the an-ban si ho gai
rishta naya naya sa tha kuchh din mein mar gaya
pehle kuchh ek din to kati mushkilon mein raat
phir tera hijr meri ragon mein utar gaya
haathon se apne khud hi nasheeman ujaad kar
dekho udaas ho ke parinda kidhar gaya
ik cheekh aasmaan ke daaman mein so gai
dil ki zameen pe dard har ik soo bikhar gaya
आँखों का पूरा शहर ही सैलाब कर गया
ये कौन मुझ में नज़्म की सूरत उतर गया
जंगल में तेरी याद के जुगनूँ चमक उठे
मैदाँ सियाह-शब का उजालों से भर गया
वर्ना सियाह रात में झुलसा हुआ था मैं
ये तो तुम्हारी धूप में कुछ कुछ निखर गया
झूमा थिरकते नाचते जोड़ों में कुछ घड़ी
दिल फिर न जाने कैसी उदासी से भर गया
दोनों अना में चूर थे अन-बन सी हो गई
रिश्ता नया नया सा था कुछ दिन में मर गया
पहले कुछ एक दिन तो कटी मुश्किलों में रात
फिर तेरा हिज्र मेरी रगों में उतर गया
हाथों से अपने ख़ुद ही नशेमन उजाड़ कर
देखो उदास हो के परिंदा किधर गया
इक चीख़ आसमान के दामन में सो गई
दिल की ज़मीं पे दर्द हर इक सू बिखर गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Mishra
our suggestion based on Alok Mishra
As you were reading Attitude Shayari Shayari