vo be-asar tha musalsal daleel karte hue | वो बे-असर था मुसलसल दलील करते हुए

  - Alok Mishra

vo be-asar tha musalsal daleel karte hue
main mutmain tha ghazal ko wakeel karte hue

vo mere zakham ko naasoor kar gaye aakhir
main pur-umeed tha jin se apeel karte hue

ajeeb khwaab tha aankhon mein khoon chhod gaya
ki neend guzri hai mujh ko zaleel karte hue

sabab hai kya ki main sairaab hoon sar-e-sehra
juda hua tha vo aankhon ko jheel karte hue

mara hua main vo kirdaar hoon kahaani ka
jo jee raha hai kahaani taveel karte hue

वो बे-असर था मुसलसल दलील करते हुए
मैं मुतमइन था ग़ज़ल को वकील करते हुए

वो मेरे ज़ख़्म को नासूर कर गए आख़िर
मैं पुर-उमीद था जिन से अपील करते हुए

अजीब ख़्वाब था आँखों में ख़ून छोड़ गया
कि नींद गुज़री है मुझ को ज़लील करते हुए

सबब है क्या कि मैं सैराब हूँ सर-ए-सहरा
जुदा हुआ था वो आँखों को झील करते हुए

मरा हुआ मैं वो किरदार हूँ कहानी का
जो जी रहा है कहानी तवील करते हुए

  - Alok Mishra

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Mishra

As you were reading Shayari by Alok Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Alok Mishra

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari