bujhti aankhon mein tire khwaab ka bosa rakha | बुझती आँखों में तिरे ख़्वाब का बोसा रक्खा

  - Alok Mishra

bujhti aankhon mein tire khwaab ka bosa rakha
raat phir ham ne andheron mein ujaala rakha

zakham seene mein to aankhon mein samundar thehra
dard ko main ne mujhe dard ne zinda rakha

saath rehta tha magar saath nahin tha mere
us ki qurbat ne bhi akshar mujhe tanhaa rakha

waqt ke saath tujhe bhool hi jaata lekin
ik hare khat ne mere zakham ko taaza rakha

mera eemaan na tika paai hazaaron shaklein
meri aankhon ne tire pyaar mein roza rakha

kya qayamat hai ki teri hi tarah se mujh se
zindagi ne bhi bahut door ka rishta rakha

बुझती आँखों में तिरे ख़्वाब का बोसा रक्खा
रात फिर हम ने अँधेरों में उजाला रक्खा

ज़ख़्म सीने में तो आँखों में समुंदर ठहरा
दर्द को मैं ने मुझे दर्द ने ज़िंदा रक्खा

साथ रहता था मगर साथ नहीं था मेरे
उस की क़ुर्बत ने भी अक्सर मुझे तन्हा रक्खा

वक़्त के साथ तुझे भूल ही जाता लेकिन
इक हरे ख़त ने मिरे ज़ख़्म को ताज़ा रक्खा

मेरा ईमाँ न टिका पाईं हज़ारों शक्लें
मेरी आँखों ने तिरे प्यार में रोज़ा रक्खा

क्या क़यामत है कि तेरी ही तरह से मुझ से
ज़िंदगी ने भी बहुत दूर का रिश्ता रक्खा

  - Alok Mishra

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Mishra

As you were reading Shayari by Alok Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Alok Mishra

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari