dil par kisi ki baat ka aisa asar na tha | दिल पर किसी की बात का ऐसा असर न था

  - Alok Mishra

dil par kisi ki baat ka aisa asar na tha
pehle main is tarah se kabhi dar-b-dar na tha

chaaron taraf the dhoop ke jungle hare-bhare
sehra mein koi mere alaava shajar na tha

taare bhi shab ki jheel mein gharqaab ho gaye
meri udaasiyon ka koi hum-safar na tha

furqat ki aanch thi na tiri yaad ki tapish
dil sard pad raha tha kahi ik sharar na tha

kal shab na jaane kaun se gham the ufaan par
ashkon se is qadar main kabhi tar-b-tar na tha

दिल पर किसी की बात का ऐसा असर न था
पहले मैं इस तरह से कभी दर-ब-दर न था

चारों तरफ़ थे धूप के जंगल हरे-भरे
सहरा में कोई मेरे अलावा शजर न था

तारे भी शब की झील में ग़र्क़ाब हो गए
मेरी उदासियों का कोई हम-सफ़र न था

फ़ुर्क़त की आँच थी न तिरी याद की तपिश
दिल सर्द पड़ रहा था कहीं इक शरर न था

कल शब न जाने कौन से ग़म थे उफान पर
अश्कों से इस क़दर मैं कभी तर-ब-तर न था

  - Alok Mishra

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Mishra

As you were reading Shayari by Alok Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Alok Mishra

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari