nahin is chup ke peeche kuchh nahin aisa
bas ik shubhaa sa hai tum se bhi waabasta
use to khair itna bhi nahin ab yaad
ki pehla jaal us ne kis pe fenka tha
ajab sukh tha kisi ka dukh battane mein
main apni maut bhi zaahir na karta tha
ham aison ki jagah banti hi kitni hai
ham aison ka theharna kya bichadna kya
mujhe darkaar hai phir bheegi si aankhen
vagarna agli rut mein sookh jaaunga
yahi ik dukh to seene mein sabhi ke hai
koi sach-much mein apne saath tha bhi ya
नहीं इस चुप के पीछे कुछ नहीं ऐसा
बस इक शुब्हा सा है तुम से भी वाबस्ता
उसे तो ख़ैर इतना भी नहीं अब याद
कि पहला जाल उस ने किस पे फेंका था
अजब सुख था किसी का दुख बटाने में
मैं अपनी मौत भी ज़ाहिर न करता था
हम ऐसों की जगह बनती ही कितनी है
हम ऐसों का ठहरना क्या बिछड़ना क्या
मुझे दरकार है फिर भीगी सी आँखें
वगर्ना अगली रुत में सूख जाऊँगा
यही इक दुख तो सीने में सभी के है
कोई सच-मुच में अपने साथ था भी या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Mishra
our suggestion based on Alok Mishra
As you were reading Rahbar Shayari Shayari