tumhaare saaye se ukta gaya hoon | तुम्हारे साए से उक्ता गया हूँ

  - Alok Mishra

tumhaare saaye se ukta gaya hoon
main apni dhoop waapas chahta hoon

kaho kuchh to zabaan se baat kya hai
main kya phir se akela ho gaya hoon

magar ye sab mujhe kehna nahin tha
na jaane kyun main ye sab kah raha hoon

sabab kuchh bhi nahin afsurdagi ka
main bas khush rahte rahte thak gaya hoon

gila karta nahin ab mausamon se
main in pedon ke jaisa ho gaya hoon

तुम्हारे साए से उक्ता गया हूँ
मैं अपनी धूप वापस चाहता हूँ

कहो कुछ तो ज़बाँ से बात क्या है
मैं क्या फिर से अकेला हो गया हूँ

मगर ये सब मुझे कहना नहीं था
न जाने क्यों मैं ये सब कह रहा हूँ

सबब कुछ भी नहीं अफ़्सुर्दगी का
मैं बस ख़ुश रहते रहते थक गया हूँ

गिला करता नहीं अब मौसमों से
मैं इन पेड़ों के जैसा हो गया हूँ

  - Alok Mishra

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Mishra

As you were reading Shayari by Alok Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Alok Mishra

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari