to kya hua jo tamaashaai ho gaya hoon main
tire hi haq mein to sab jhooth bolta hoon main
nahin ye dukh to kisi aur ke sabab hai sab
tumhein to dil se rihaai bhi de chuka hoon main
daroon na kyun main bhala teri gham-gusaari se
ki is ke ba'ad ke sab mod jaanta hoon main
ye poochna tha ki meri bhi kuchh jagah hai kahi
tumhaare dar pe khada sard pad raha hoon main
mujhe pata hai ki rone se kuchh nahin hota
naya sa dukh hai to thoda chhalk gaya hoon main
तो क्या हुआ जो तमाशाई हो गया हूँ मैं
तिरे ही हक़ में तो सब झूट बोलता हूँ मैं
नहीं ये दुख तो किसी और के सबब है सब
तुम्हें तो दिल से रिहाई भी दे चुका हूँ मैं
डरूँ न क्यों मैं भला तेरी ग़म-गुसारी से
कि इस के बा'द के सब मोड़ जानता हूँ मैं
ये पूछना था कि मेरी भी कुछ जगह है कहीं
तुम्हारे दर पे खड़ा सर्द पड़ रहा हूँ मैं
मुझे पता है कि रोने से कुछ नहीं होता
नया सा दुख है तो थोड़ा छलक गया हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alok Mishra
our suggestion based on Alok Mishra
As you were reading Manzil Shayari Shayari