jaane kis baat se dukha hai bahut | जाने किस बात से दुखा है बहुत

  - Alok Mishra

jaane kis baat se dukha hai bahut
dil kai roz se khafa hai bahut

sab sitaare dilaasa dete hain
chaand raaton ko cheekhta hai bahut

phir wahi raat mujh mein thehri hai
phir samaat mein shor sa hai bahut

tum zamaane ki baat karte ho
mera mujh se bhi fasla hai bahut

us ki dukhti nasen na phat jaayen
dil musalsal ye sochta hai bahut

vaasta kuchh zaroor hai tum se
tum ko vo shakhs poochta hai bahut

tum se bichhda to toot jaayega
us ki aankhon mein hausla hai bahut

chakh ke dekho ise kabhi tum bhi
is udaasi mein zaa'ika hai bahut

in ki saansen ginee-chunee hain bas
khoon lamhon ka bah gaya hai bahut

dasht ko kar liya tha ghar main ne
ab mujhe ghar ye kaatta hai bahut

is se baahar nikal na paoge
dasht maazi ka ye ghana hai bahut

mera sukh dukh samjhti hain ghazlein
zindagi ko ye aasraa hai bahut

जाने किस बात से दुखा है बहुत
दिल कई रोज़ से ख़फ़ा है बहुत

सब सितारे दिलासा देते हैं
चाँद रातों को चीख़ता है बहुत

फिर वही रात मुझ में ठहरी है
फिर समाअत में शोर सा है बहुत

तुम ज़माने की बात करते हो
मेरा मुझ से भी फ़ासला है बहुत

उस की दुखती नसें न फट जाएँ
दिल मुसलसल ये सोचता है बहुत

वास्ता कुछ ज़रूर है तुम से
तुम को वो शख़्स पूछता है बहुत

तुम से बिछड़ा तो टूट जाएगा
उस की आँखों में हौसला है बहुत

चख के देखो इसे कभी तुम भी
इस उदासी में ज़ाइक़ा है बहुत

इन की साँसें गिनी-चुनी हैं बस
ख़ून लम्हों का बह गया है बहुत

दश्त को कर लिया था घर मैं ने
अब मुझे घर ये काटता है बहुत

इस से बाहर निकल न पाओगे
दश्त माज़ी का ये घना है बहुत

मेरा सुख दुख समझती हैं ग़ज़लें
ज़िंदगी को ये आसरा है बहुत

  - Alok Mishra

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Mishra

As you were reading Shayari by Alok Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Alok Mishra

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari