nashaat-e-dard ka dariya utarne waala hai
main is se aur vo mujh se ubharne waala hai
main us ki narm nigaahi se ho gaya mayus
vo meri saada-dili se mukarne waala hai
vo mere ishq mein deewana-waar firne lage
ye mo'jiza to faqat farz karne waala hai
mere khayal ki parvaaz se jo waqif hai
vo aashna hi mere par katarne waala hai
abhi abhi mere kuchh dost aane waale hain
main sochta tha har ik zakham bharne waala hai
faseel-e-jism pe kuchh naqsh chhod jaayega
jo haadisa mere dil par guzarne waala hai
bas is khayal mein bigda raha main barson tak
ab ek din mein koi kya sudharne waala hai
vo ban ke zeest mere paas aa gaya hai amar
ye waqt mere liye ain marne waala hai
नशात-ए-दर्द का दरिया उतरने वाला है
मैं इस से और वो मुझ से उभरने वाला है
मैं उस की नर्म निगाही से हो गया मायूस
वो मेरी सादा-दिली से मुकरने वाला है
वो मेरे इश्क़ में दीवाना-वार फिरने लगे
ये मो'जिज़ा तो फ़क़त फ़र्ज़ करने वाला है
मिरे ख़याल की परवाज़ से जो वाक़िफ़ है
वो आश्ना ही मिरे पर कतरने वाला है
अभी अभी मिरे कुछ दोस्त आने वाले हैं
मैं सोचता था हर इक ज़ख़्म भरने वाला है
फ़सील-ए-जिस्म पे कुछ नक़्श छोड़ जाएगा
जो हादिसा मिरे दिल पर गुज़रने वाला है
बस इस ख़याल में बिगड़ा रहा मैं बरसों तक
अब एक दिन में कोई क्या सुधरने वाला है
वो बन के ज़ीस्त मिरे पास आ गया है 'अमर'
ये वक़्त मेरे लिए ऐन मरने वाला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amardeep Singh
our suggestion based on Amardeep Singh
As you were reading Nadii Shayari Shayari