us dard se bhi tujh se jo mansoob raha hai | उस दर्द से भी तुझ से जो मंसूब रहा है

  - Amardeep Singh

us dard se bhi tujh se jo mansoob raha hai
har cheez se har shakhs se man oob raha hai

kya jaaniye kal subh ubharta hai kidhar se
ik dil jo sar-e-shaam kahi doob raha hai

ab hosh mein aaya hoon to achha hai ye usloob
may pee ke bahakna bhi magar khoob raha hai

hairaan hoon use kaise na pehchaan saka main
vo shakhs jo barson mera matlab raha hai

zaahir hai tire tark-e-ta'alluq ki ada se
ik waqt mein tu kitnon ka mehboob raha hai

chadhte hue suraj ko salaam us ka bhi kah do
jo shakhs sar-e-waadi-e-shab doob raha hai

munkir hai naye daur ka har fard hi us se
sadiyon se zamaane ka jo usloob raha hai

उस दर्द से भी तुझ से जो मंसूब रहा है
हर चीज़ से हर शख़्स से मन ऊब रहा है

क्या जानिए कल सुब्ह उभरता है किधर से
इक दिल जो सर-ए-शाम कहीं डूब रहा है

अब होश में आया हूँ तो अच्छा है ये उस्लूब
मय पी के बहकना भी मगर ख़ूब रहा है

हैराँ हूँ उसे कैसे न पहचान सका मैं
वो शख़्स जो बरसों मिरा मतलूब रहा है

ज़ाहिर है तिरे तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ की अदा से
इक वक़्त में तू कितनों का महबूब रहा है

चढ़ते हुए सूरज को सलाम उस का भी कह दो
जो शख़्स सर-ए-वादी-ए-शब डूब रहा है

मुनकिर है नए दौर का हर फ़र्द ही उस से
सदियों से ज़माने का जो उस्लूब रहा है

  - Amardeep Singh

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amardeep Singh

As you were reading Shayari by Amardeep Singh

Similar Writers

our suggestion based on Amardeep Singh

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari