gaye guzre dinon ki yaad ka nashsha abhi tak hai | गए गुज़रे दिनों की याद का नश्शा अभी तक है

  - Amardeep Singh

gaye guzre dinon ki yaad ka nashsha abhi tak hai
mere paimaana-e-dil mein koi sahaba abhi tak hai

chhalk padte hain aansu aankh se ik mod murte hi
purane ghar ki galiyon se mera rishta abhi tak hai

ai ku-e-yaar tu shaayad use ab bhool baithi ho
magar tere sabab se shakhs ik rusva abhi tak hai

tasavvur hi ki duniya thi khayaalon hi mein rahte the
yaqeen se kam nahin tha jo wahi dhoka abhi tak hai

inhi aankhon se guzra hai vo har manzar jo kahti hain
saraasar vaham tha vo sab ke jo dekha abhi tak hai

ye ghar us shakhs ki mehnat ko ab tak kharch karta hai
jo saalon pehle mar kar bhi kahi zinda abhi tak hai

masaail kuchh bhi hon lekin mujhe kab fikr thi koi
the vo bhi din main kehta tha mera abbaa abhi tak hai

mohabbat ki bhala is se badi tasdeeq kya hogi
musalmaano ki basti mein jo mandir tha abhi tak hai

bura kahti hai gar duniya hamein to mas'ala kya hai
hamein to fikr hai us ki ki jo achha abhi tak hai

hujoom-e-dostaan har soo hai lekin baawajood is ke
amar kya baat hai aakhir jo tu tanhaa abhi tak hai

गए गुज़रे दिनों की याद का नश्शा अभी तक है
मेरे पैमाना-ए-दिल में कोई सहबा अभी तक है

छलक पड़ते हैं आँसू आँख से इक मोड़ मुड़ते ही
पुराने घर की गलियों से मिरा रिश्ता अभी तक है

ऐ कू-ए-यार तू शायद उसे अब भूल बैठी हो
मगर तेरे सबब से शख़्स इक रुस्वा अभी तक है

तसव्वुर ही की दुनिया थी ख़यालों ही में रहते थे
यक़ीं से कम नहीं था जो वही धोका अभी तक है

इन्ही आँखों से गुज़रा है वो हर मंज़र जो कहती हैं
सरासर वहम था वो सब के जो देखा अभी तक है

ये घर उस शख़्स की मेहनत को अब तक ख़र्च करता है
जो सालों पहले मर कर भी कहीं ज़िंदा अभी तक है

मसाइल कुछ भी हों लेकिन मुझे कब फ़िक्र थी कोई
थे वो भी दिन मैं कहता था मिरा अब्बा अभी तक है

मोहब्बत की भला इस से बड़ी तस्दीक़ क्या होगी
मुसलमानों की बस्ती में जो मंदिर था अभी तक है

बुरा कहती है गर दुनिया हमें तो मसअला क्या है
हमें तो फ़िक्र है उस की कि जो अच्छा अभी तक है

हुजूम-ए-दोस्ताँ हर सू है लेकिन बावजूद इस के
'अमर' क्या बात है आख़िर जो तू तन्हा अभी तक है

  - Amardeep Singh

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amardeep Singh

As you were reading Shayari by Amardeep Singh

Similar Writers

our suggestion based on Amardeep Singh

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari