nafs nafs iztiraab sa kuchh | नफ़स नफ़स इज़्तिराब सा कुछ

  - Amardeep Singh

nafs nafs iztiraab sa kuchh
hai zindagi ya azaab sa kuchh

fareb khaati hai pyaas apni
qadam qadam hai saraab sa kuchh

nayi nayi guftugoo ka nashsha
badi puraani sharaab sa kuchh

kisi vaseele to raat guzre
na neend hai aur na khwaab sa kuchh

hain chashm-e-giryaan ko gham hazaaron
chalo karein intikhaab sa kuchh

in achhe logon mein waqai kya
kahi nahin hai kharab sa kuchh

varq varq padh liya gaya vo
tha jis ka chehra kitaab sa kuchh

ye raah pur-khaar kuchh nahin jab
chubha ho dil mein gulaab sa kuchh

na jaane kyun khud aziyyati se
mujhe nahin ijtinaab sa kuchh

amar wahi shakhs dil ka jo hai
zara sa achha kharab sa kuchh

नफ़स नफ़स इज़्तिराब सा कुछ
है ज़िंदगी या अज़ाब सा कुछ

फ़रेब खाती है प्यास अपनी
क़दम क़दम है सराब सा कुछ

नई नई गुफ़्तुगू का नश्शा
बड़ी पुरानी शराब सा कुछ

किसी वसीले तो रात गुज़रे
न नींद है और न ख़्वाब सा कुछ

हैं चश्म-ए-गिर्यां को ग़म हज़ारों
चलो करें इंतिख़ाब सा कुछ

इन अच्छे लोगों में वाक़ई क्या
कहीं नहीं है ख़राब सा कुछ

वरक़ वरक़ पढ़ लिया गया वो
था जिस का चेहरा किताब सा कुछ

ये राह पुर-ख़ार कुछ नहीं जब
चुभा हो दिल में गुलाब सा कुछ

न जाने क्यों ख़ुद अज़िय्यती से
मुझे नहीं इज्तिनाब सा कुछ

'अमर' वही शख़्स दिल का जो है
ज़रा सा अच्छा ख़राब सा कुछ

  - Amardeep Singh

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amardeep Singh

As you were reading Shayari by Amardeep Singh

Similar Writers

our suggestion based on Amardeep Singh

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari