ab gumaan hai na yaqeen kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin | अब गुमाँ है न यक़ीं कुछ भी नहीं कुछ भी नहीं

  - Amardeep Singh

ab gumaan hai na yaqeen kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
aasmaan kuchh bhi nahin aur zameen kuchh bhi nahin

mit gaya dil se aqeedat ka bharam ya'ni ab
us ka dar kuchh bhi nahin apni jabeen kuchh bhi nahin

kyun na yak-rangi-e-haalaat se jee uktaae
ab koi bazm-e-tarab daur-e-hazeen kuchh bhi nahin

ab to har husn-o-nazar rang-o-mahak saaz-o-sukhan
laakh achhe hon magar khud se haseen kuchh bhi nahin

jaane kis taur hai taqseem-e-karam allah ka
hai kahi kitna hi kuchh aur kahi kuchh bhi nahin

aas bandhti hai zara der use takne mein
kaun kehta hai sar-e-arsh-e-bareen kuchh bhi nahin

aa hi jaayenge tah-e-daam-e-ajal sab ik din
ho bhale takht-nasheen khaak-nasheen kuchh bhi nahin

kitna pur-shor tha anfaas ka bahta dariya
kyun ye kehta hai dam-e-baaz-paseen kuchh bhi nahin

mit gaya jism hui rooh bhi ruksat kab ki
ab yahan koi makaan hai na makeen kuchh bhi nahin

khud se kis taur sahe shakhs vo doori apni
hai b-juz apne amar jis ke qareen kuchh bhi nahin

अब गुमाँ है न यक़ीं कुछ भी नहीं कुछ भी नहीं
आसमाँ कुछ भी नहीं और ज़मीं कुछ भी नहीं

मिट गया दिल से अक़ीदत का भरम या'नी अब
उस का दर कुछ भी नहीं अपनी जबीं कुछ भी नहीं

क्यों न यक-रंगी-ए-हालात से जी उकताए
अब कोई बज़्म-ए-तरब दौर-ए-हज़ीं कुछ भी नहीं

अब तो हर हुस्न-ओ-नज़र रंग-ओ-महक साज़-ओ-सुख़न
लाख अच्छे हों मगर ख़ुद से हसीं कुछ भी नहीं

जाने किस तौर है तक़्सीम-ए-करम अल्लाह का
है कहीं कितना ही कुछ और कहीं कुछ भी नहीं

आस बँधती है ज़रा देर उसे तकने में
कौन कहता है सर-ए-अर्श-ए-बरीं कुछ भी नहीं

आ ही जाएँगे तह-ए-दाम-ए-अजल सब इक दिन
हो भले तख़्त-नशीं ख़ाक-नशीं कुछ भी नहीं

कितना पुर-शोर था अन्फ़ास का बहता दरिया
क्यों ये कहता है दम-ए-बाज़-पसीं कुछ भी नहीं

मिट गया जिस्म हुई रूह भी रुख़्सत कब की
अब यहाँ कोई मकाँ है न मकीं कुछ भी नहीं

ख़ुद से किस तौर सहे शख़्स वो दूरी अपनी
है ब-जुज़ अपने 'अमर' जिस के क़रीं कुछ भी नहीं

  - Amardeep Singh

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amardeep Singh

As you were reading Shayari by Amardeep Singh

Similar Writers

our suggestion based on Amardeep Singh

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari