haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye | हाल-ए-दिल बद से बद-तर हुआ देखिए

  - Amardeep Singh

haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye
aap ka kaam hai dekhna dekhiye

vo jo rakha hua hai jahaan ke liye
aap khud bhi to vo aaina dekhiye

aql waalon ki imdaad ke vaaste
jaan-b-kaf hai koi sar-fira dekhiye

shehar jal bujh gaya log mar kab gaye
subh-e-nau kal naya haadisa dekhiye

is tamaasha-e-ahl-e-siyaasat ko aap
dekh sakte hain bas baarha dekhiye

apne ausaan khoti zameen hi nahin
aasmaan ko bhi marta hua dekhiye

ek haalat hai dil ki kuchh aisi bhi jab
khud ko mumkin hai khud se juda dekhiye

jalwa-farma hai jo apne andar use
dam-b-dam dekhiye jaa-b-jaa dekhiye

ek dooje se ukta gaye aadmi
in se uktaayega kab khuda dekhiye

shiddat-e-gham hai main bhi hoon pyaasa amar
aas paas ab koi mai-kada dekhiye

हाल-ए-दिल बद से बद-तर हुआ देखिए
आप का काम है देखना देखिए

वो जो रक्खा हुआ है जहाँ के लिए
आप ख़ुद भी तो वो आइना देखिए

अक़्ल वालों की इमदाद के वास्ते
जाँ-ब-कफ़ है कोई सर-फिरा देखिए

शहर जल बुझ गया लोग मर कब गए
सुब्ह-ए-नौ कल नया हादिसा देखिए

इस तमाशा-ए-अहल-ए-सियासत को आप
देख सकते हैं बस बारहा देखिए

अपने औसान खोती ज़मीं ही नहीं
आसमाँ को भी मरता हुआ देखिए

एक हालत है दिल की कुछ ऐसी भी जब
ख़ुद को मुमकिन है ख़ुद से जुदा देखिए

जल्वा-फ़रमा है जो अपने अंदर उसे
दम-ब-दम देखिए जा-ब-जा देखिए

एक दूजे से उक्ता गए आदमी
इन से उकताएगा कब ख़ुदा देखिए

शिद्दत-ए-ग़म है मैं भी हूँ प्यासा 'अमर'
आस पास अब कोई मै-कदा देखिए

  - Amardeep Singh

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amardeep Singh

As you were reading Shayari by Amardeep Singh

Similar Writers

our suggestion based on Amardeep Singh

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari