tumhaari yaad se nikli udaasi
mujhe tasleem hai aisi udaasi
milan vo aakhiri bhoola na apna
na us ke baad ki pehli udaasi
samundar se bhi gahra dil hamaara
hamaare dil se bhi gahri udaasi
bahut se pairhan badle hain dil ne
magar aakhir ko phir pahni udaasi
kisi ne apne andar jazb kar li
kisi ne chehre tak rakhi udaasi
kisi ke lab pe hai muskaan jhooti
kisi ki shakl par farzi udaasi
koi harf-e-sukhan tak le gaya hai
kisi ne saaz par gaai udaasi
kisi takhleeq mein dhal jaaye jab tu
har ik pahluu se hai achhi udaasi
abhi shor-e-tarab tham jaayega jab
hamaare qalb se goonji udaasi
zara si der khushiyon ki fazaayein
phir is ke baad ik lambi udaasi
khud apne aap tak simte huoon ki
badi hi door tak phaili udaasi
udaas is baar main ye soch kar hoon
tire hote hue kaisi udaasi
udaasi ne bhi aakhir tang aa kar
ye mujh se kah diya itni udaasi
amar hadd-e-nazar tak dekhta hoon
main tujh mein bas udaasi hi udaasi
तुम्हारी याद से निकली उदासी
मुझे तस्लीम है ऐसी उदासी
मिलन वो आख़िरी भूला न अपना
न उस के बाद की पहली उदासी
समुंदर से भी गहरा दिल हमारा
हमारे दिल से भी गहरी उदासी
बहुत से पैरहन बदले हैं दिल ने
मगर आख़िर को फिर पहनी उदासी
किसी ने अपने अंदर जज़्ब कर ली
किसी ने चेहरे तक रक्खी उदासी
किसी के लब पे है मुस्कान झूटी
किसी की शक्ल पर फ़र्ज़ी उदासी
कोई हर्फ़-ए-सुख़न तक ले गया है
किसी ने साज़ पर गाई उदासी
किसी तख़्लीक़ में ढल जाए जब तू
हर इक पहलू से है अच्छी उदासी
अभी शोर-ए-तरब थम जाएगा जब
हमारे क़ल्ब से गूँजी उदासी
ज़रा सी देर ख़ुशियों की फ़ज़ाएँ
फिर इस के बाद इक लम्बी उदासी
ख़ुद अपने आप तक सिमटे हुओं की
बड़ी ही दूर तक फैली उदासी
उदास इस बार मैं ये सोच कर हूँ
तिरे होते हुए कैसी उदासी
उदासी ने भी आख़िर तंग आ कर
ये मुझ से कह दिया इतनी उदासी
'अमर' हद्द-ए-नज़र तक देखता हूँ
मैं तुझ में बस उदासी ही उदासी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amardeep Singh
our suggestion based on Amardeep Singh
As you were reading Mood off Shayari Shayari