aaj yun hi sar-b-sar dil bahut udaas hai | आज यूँ ही सर-ब-सर दिल बहुत उदास है

  - Amardeep Singh

aaj yun hi sar-b-sar dil bahut udaas hai
baat kuchh nahin magar dil bahut udaas hai

jism hai thaka hua hausla nidhaal hai
aur sab se peshtar dil bahut udaas hai

shahr-e-mumkinaat mein ho ke na ummeed main
phir raha hoon dar-b-dar dil bahut udaas hai

phir hasi ko dekh kar sab fareb kha gaye
hai bhala kise khabar dil bahut udaas hai

phir vo qurb-e-yaar ho ya hasi ki mahfilein
kuchh nahin maza agar dil bahut udaas hai

kis adam ki aur hai is vujood ka safar
aaj khud ko soch kar dil bahut udaas hai

ab tire sawaal ka kya jawaab doon bhala
baat ye hai mukhtasar dil bahut udaas hai

yun bhi tere dard ka bas yahi ilaaj hai
may-kade mein chal amar dil bahut udaas hai

आज यूँ ही सर-ब-सर दिल बहुत उदास है
बात कुछ नहीं मगर दिल बहुत उदास है

जिस्म है थका हुआ हौसला निढाल है
और सब से पेशतर दिल बहुत उदास है

शहर-ए-मुम्किनात में हो के न उम्मीद मैं
फिर रहा हूँ दर-ब-दर दिल बहुत उदास है

फिर हँसी को देख कर सब फ़रेब खा गए
है भला किसे ख़बर दिल बहुत उदास है

फिर वो क़ुर्ब-ए-यार हो या हँसी की महफ़िलें
कुछ नहीं मज़ा अगर दिल बहुत उदास है

किस अदम की और है इस वजूद का सफ़र
आज ख़ुद को सोच कर दिल बहुत उदास है

अब तिरे सवाल का क्या जवाब दूँ भला
बात ये है मुख़्तसर दिल बहुत उदास है

यूँ भी तेरे दर्द का बस यही इलाज है
मय-कदे में चल 'अमर' दिल बहुत उदास है

  - Amardeep Singh

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amardeep Singh

As you were reading Shayari by Amardeep Singh

Similar Writers

our suggestion based on Amardeep Singh

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari