yaadon mein teri ashk bahaaye ko din hue
yaad aa ki ab ye lutf uthaaye ko din hue
muddat hui tu milne na aaya kabhi mujhe
mujh ko bhi teri yaad sataaye ko din hue
har subh fikr-e-kaar-e-jahaan mein khuli hai aankh
khwaabon mein koi raat bitaaye ko din hue
haaye vo may-kade ke sabhi dil-figaar log
jin sang koi shaam sajaaye ko din hue
taaza rafaqaton ke naye zakham khaaiye
pichhli adaavaten jo ganwaaye ko din hue
aane lage nigaah mein is waqt sab ke aib
khud se kabhi nazar jo milaaye ko din hue
mehfil ki samt aana pada aakhirsh hamein
khilwat-kade mein dil jo dukhaaye ko din hue
jab se hua hoon aap mein apne se hum-sukhan
auron ko apne she'r sunaaye ko din hue
यादों में तेरी अश्क बहाए को दिन हुए
याद आ कि अब ये लुत्फ़ उठाए को दिन हुए
मुद्दत हुई तू मिलने न आया कभी मुझे
मुझ को भी तेरी याद सताए को दिन हुए
हर सुब्ह फ़िक्र-ए-कार-ए-जहाँ में खुली है आँख
ख़्वाबों में कोई रात बिताए को दिन हुए
हाए वो मय-कदे के सभी दिल-फ़िगार लोग
जिन संग कोई शाम सजाए को दिन हुए
ताज़ा रफ़ाक़तों के नए ज़ख़्म खाइए
पिछली अदावतें जो गँवाए को दिन हुए
आने लगे निगाह में इस वक़्त सब के ऐब
ख़ुद से कभी नज़र जो मिलाए को दिन हुए
महफ़िल की सम्त आना पड़ा आख़िरश हमें
ख़ल्वत-कदे में दिल जो दुखाए को दिन हुए
जब से हुआ हूँ आप में अपने से हम-सुख़न
औरों को अपने शे'र सुनाए को दिन हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amardeep Singh
our suggestion based on Amardeep Singh
As you were reading Aansoo Shayari Shayari