main apni wusaaton ko us gali mein bhool jaata hoon
na jaane kaun se jaadu ke haathon mein khilauna hoon
safar ye paaniyon ka jab mujhe be-aab karta hai
main dariya ki ruphali ret ko bistar banata hoon
sawaalon ke kai patthar uthaaye log baithe hain
main apna nanha baccha qabr mein dafna ke lautaa hoon
na jaane kis fazaa mein kho gaya vo doodhiya aanchal
ki jis ke faiz se main kitni aankhon ka ujaala hoon
vo suraj mere chaaron samt hai faila hua lekin
main akshar ajnabi dhundlaahaton mein doob jaata hoon
lipt jaati hai meri ungliyon se khud shafaq aa kar
sehar ki samt jab main apne haathon ko badhaata hoon
koi to hai ki jo mujh ko ujaale bakhsh jaata hai
b-zaahir main kisi tareek taapu mein akela hoon
mere seene mein ambar ik dhanak si phail jaati hai
main apne aansuon ki chaandni mein sher likhta hoon
मैं अपनी वुसअतों को उस गली में भूल जाता हूँ
न जाने कौन से जादू के हाथों में खिलौना हूँ
सफ़र ये पानियों का जब मुझे बे-आब करता है
मैं दरिया की रुपहली रेत को बिस्तर बनाता हूँ
सवालों के कई पत्थर उठाए लोग बैठे हैं
मैं अपना नन्हा बच्चा क़ब्र में दफ़ना के लौटा हूँ
न जाने किस फ़ज़ा में खो गया वो दूधिया आँचल
कि जिस के फ़ैज़ से मैं कितनी आँखों का उजाला हूँ
वो सूरज मेरे चारों सम्त है फैला हुआ लेकिन
मैं अक्सर अजनबी धुँदलाहटों में डूब जाता हूँ
लिपट जाती है मेरी उँगलियों से ख़ुद शफ़क़ आ कर
सहर की सम्त जब मैं अपने हाथों को बढ़ाता हूँ
कोई तो है कि जो मुझ को उजाले बख़्श जाता है
ब-ज़ाहिर मैं किसी तारीक टापू में अकेला हूँ
मिरे सीने में 'अम्बर' इक धनक सी फैल जाती है
मैं अपने आँसुओं की चाँदनी में शेर लिखता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi
our suggestion based on Ambar Bahraichi
As you were reading Musafir Shayari Shayari