ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaaya jaaye
ab bhari bazm mein ahvaal sunaaya jaaye
haaye us jaan-e-tamanna se nibhegi kaise
ham se to raaz na ik roz chhupaaya jaaye
apna gham ho to use kah ke sukoon mil jaaye
us ka gham ho to kise ja ke sunaaya jaaye
raat bhar jin ki ziya se rahe raushan kamre
subh-dam un hi charaagon ko bujhaaya jaaye
dhyaan mein jis ke kai jaagti raatein guzriin
raahat ik raat use bhi to jagaaya jaaye
हो सके तो दिल-ए-सद-चाक दिखाया जाए
अब भरी बज़्म में अहवाल सुनाया जाए
हाए उस जान-ए-तमन्ना से निभेगी कैसे
हम से तो राज़ न इक रोज़ छुपाया जाए
अपना ग़म हो तो उसे कह के सुकूँ मिल जाए
उस का ग़म हो तो किसे जा के सुनाया जाए
रात भर जिन की ज़िया से रहे रौशन कमरे
सुब्ह-दम उन ही चराग़ों को बुझाया जाए
ध्यान में जिस के कई जागती रातें गुज़रीं
'राहत' इक रात उसे भी तो जगाया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Dard Shayari Shayari