humeen the jaan-e-bahaaraan humeen the rang-e-tarab
humeen hain bazm-e-may-o-gul mein aaj mohr-b-lab
wahi tujhe bhi nazar aaye be-adab jo log
faqih-e-shahr se uljhe tiri gali ke sabab
khayaal-o-fikr ke phir silsile sulag na uthe
ki chubh rahi hai dilon mein hawa-e-gesoo-e-shab
bas ek jaam ne rindon ki aabroo rakh li
vagarna kam na tha wa'iz ka shor-e-ghaiz-o-ghazab
chalo kali ke tabassum ka raaz pooch aayein
gulon ke qafile chal den chaman se jaane kab
abhi se dhadkanein khaamosh hoti jaati hain
ajeeb hoga samaan vo bhi tum na aaoge jab
hamein hi taab-e-sama'at na ho saki raahat
fasaana-khwaan ne to chheda tha zikr-e-ahd-e-tarab
हमीं थे जान-ए-बहाराँ हमीं थे रंग-ए-तरब
हमीं हैं बज़्म-ए-मय-ओ-गुल में आज मोहर-ब-लब
वही तुझे भी नज़र आए बे-अदब जो लोग
फ़क़ीह-ए-शहर से उलझे तिरी गली के सबब
ख़याल-ओ-फ़िक्र के फिर सिलसिले सुलग न उठें
कि चुभ रही है दिलों में हवा-ए-गेसू-ए-शब
बस एक जाम ने रिंदों की आबरू रख ली
वगर्ना कम न था वाइ'ज़ का शोर-ए-ग़ैज़-ओ-ग़ज़ब
चलो कली के तबस्सुम का राज़ पूछ आएँ
गुलों के क़ाफ़िले चल दें चमन से जाने कब
अभी से धड़कनें ख़ामोश होती जाती हैं
अजीब होगा समाँ वो भी तुम न आओगे जब
हमें ही ताब-ए-समाअ'त न हो सकी 'राहत'
फ़साना-ख़्वाँ ने तो छेड़ा था ज़िक्र-ए-अहद-ए-तरब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Nigaah Shayari Shayari