jab koi bhi khaqaan sar-e-baam na hoga
phir ahl-e-zameen par koi ilzaam na hoga
kal vo hamein pehchaan na paaye sar-e-raahe
shaayad unhen ab ham se koi kaam na hoga
phir kaun samajh paayega asraar-e-haqeeqat
jab faisla koi bhi sar-e-aam na hoga
ye ahd-e-ravaan khaak-nishaan dhyaan mein rakho
phir dhundooge kis ko jo koi naam na hoga
banne ko hai ik roz parindon ka muqaddar
utarenge to ham-rang-e-zameen daam na hoga
mehfil mein agar zikr ho arbaab-e-wafaa ka
aisa nahin raahat ki tira naam na hoga
जब कोई भी ख़ाक़ान सर-ए-बाम न होगा
फिर अहल-ए-ज़मीं पर कोई इल्ज़ाम न होगा
कल वो हमें पहचान न पाए सर-ए-राहे
शायद उन्हें अब हम से कोई काम न होगा
फिर कौन समझ पाएगा असरार-ए-हक़ीक़त
जब फ़ैसला कोई भी सर-ए-आम न होगा
ये अहद-ए-रवाँ ख़ाक-निशाँ ध्यान में रक्खो
फिर ढूँडोगे किस को जो कोई नाम न होगा
बनने को है इक रोज़ परिंदों का मुक़द्दर
उतरेंगे तो हम-रंग-ए-ज़मीं दाम न होगा
महफ़िल में अगर ज़िक्र हो अरबाब-ए-वफ़ा का
ऐसा नहीं 'राहत' कि तिरा नाम न होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari