manzil-e-shams-o-qamar se guzre
jab tiri raahguzar se guzre
shab ki gaati hui tanhaai mein
kitne toofaan the jo sar se guzre
wahin patjhad ne padaav daala
qafile gul ke jidhar se guzre
har taraf sabt hain qadmon ke nishaan
koi kis raahguzar se guzre
kis qadar khud pe hamein pyaar aaya
aaj jab apni nazar se guzre
surkhi-e-gul se bhi chaunke gul-rukh
vo zamaane bhi nazar se guzre
dasht-o-sehra ka bhi daaman simtaa
tere deewane jidhar se guzre
khud-nigar ho gaye raahat ham bhi
aaj vo kaash idhar se guzre
मंज़िल-ए-शम्स-ओ-क़मर से गुज़रे
जब तिरी राहगुज़र से गुज़रे
शब की गाती हुई तन्हाई में
कितने तूफ़ाँ थे जो सर से गुज़रे
वहीं पतझड़ ने पड़ाव डाला
क़ाफ़िले गुल के जिधर से गुज़रे
हर तरफ़ सब्त हैं क़दमों के निशाँ
कोई किस राहगुज़र से गुज़रे
किस क़दर ख़ुद पे हमें प्यार आया
आज जब अपनी नज़र से गुज़रे
सुर्ख़ी-ए-गुल से भी चौंके गुल-रुख़
वो ज़माने भी नज़र से गुज़रे
दश्त-ओ-सहरा का भी दामन सिमटा
तेरे दीवाने जिधर से गुज़रे
ख़ुद-निगर हो गए 'राहत' हम भी
आज वो काश इधर से गुज़रे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Chehra Shayari Shayari