jars-e-may ne pukaara hai utho aur suno
shaikh aaye hain soo-e-may-kadaa lo aur suno
kis tarah ujde sulagti hui yaadon ke diye
hamdamo dil ke qareeb aao ruko aur suno
zakham-e-hasti hai koi zakham-e-mohabbat to nahin
tees utthe bhi to fariyaad na ho aur suno
khud hi har ghaav pe kahte ho zabaan gang rahe
khud hi phir pursish-e-ahwaal karo aur suno
dastaan kahte hain jalte hue phoolon ke charaagh
abhi kuchh aur suno deeda-varo aur suno
shehryaaron ke hain har gaam pe charche raahat
ye vo basti hai ki bas kuchh na kaho aur suno
जरस-ए-मय ने पुकारा है उठो और सुनो
शैख़ आए हैं सू-ए-मय-कदा लो और सुनो
किस तरह उजड़े सुलगती हुई यादों के दिए
हमदमो दिल के क़रीब आओ रुको और सुनो
ज़ख़्म-ए-हस्ती है कोई ज़ख़्म-ए-मोहब्बत तो नहीं
टीस उठ्ठे भी तो फ़रियाद न हो और सुनो
ख़ुद ही हर घाव पे कहते हो ज़बाँ गंग रहे
ख़ुद ही फिर पुर्सिश-ए-अहवाल करो और सुनो
दास्ताँ कहते हैं जलते हुए फूलों के चराग़
अभी कुछ और सुनो दीदा-वरो और सुनो
शहरयारों के हैं हर गाम पे चर्चे 'राहत'
ये वो बस्ती है कि बस कुछ न कहो और सुनो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Dil Shayari Shayari