kya bataayein kahaan kahaan the phool
khaak udti hai ab jahaan the phool
bheegi bheegi si dekh kar kaliyaan
muskuraaye jahaan jahaan the phool
dil mein gulshan khila gaye kya kya
yun to do din ke mehmaan the phool
jab khizaan aayi jaan pe khel gaye
mahram-e-jehad-e-be-karaan the phool
jis ne toda usi ko ranj hua
misl-e-paimaana-e-mughaan the phool
din ki zulmat-naseeb basti mein
raahgeeron ki kahkashaan the phool
क्या बताएँ कहाँ कहाँ थे फूल
ख़ाक उड़ती है अब जहाँ थे फूल
भीगी भीगी सी देख कर कलियाँ
मुस्कुराए जहाँ जहाँ थे फूल
दिल में गुलशन खिला गए क्या क्या
यूँ तो दो दिन के मेहमाँ थे फूल
जब ख़िज़ाँ आई जाँ पे खेल गए
महरम-ए-जेहद-ए-बे-कराँ थे फूल
जिस ने तोड़ा उसी को रंज हुआ
मिस्ल-ए-पैमाना-ए-मुग़ाँ थे फूल
दिन की ज़ुल्मत-नसीब बस्ती में
राहगीरों की कहकशाँ थे फूल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Duniya Shayari Shayari