jo duhaai de raha hai koi saudaai na ho
apne hi ghar mein kisi ne aag dehkaai na ho
raaste mein is se pehle kab tha itna azdahaam
jo tamasha ban raha hai vo tamaashaai na ho
jo mila nazrein chura kar chal diya ab kya kahein
shehar mein rah kar kabhi itni shanaasaai na ho
apni hi awaaz par chaunke hain ham to baar baar
ai rafeeqo bazm mein itni bhi tanhaai na ho
main shua-e-mahr ka maara sahi lekin yahan
kaun hai yaaro jo is suraj ka shaidai na ho
gung bhi hain dekh kar badle hue manzar yahan
aur aisa bhi nahin ham mein ki goyaai na ho
main to apni zaat ka ik reza-e-ghum-gashta hoon
vo mujhe dhundega kya jo mera shaidai na ho
जो दुहाई दे रहा है कोई सौदाई न हो
अपने ही घर में किसी ने आग दहकाई न हो
रास्ते में इस से पहले कब था इतना अज़दहाम
जो तमाशा बन रहा है वो तमाशाई न हो
जो मिला नज़रें चुरा कर चल दिया अब क्या कहें
शहर में रह कर कभी इतनी शनासाई न हो
अपनी ही आवाज़ पर चौंके हैं हम तो बार बार
ऐ रफ़ीक़ो बज़्म में इतनी भी तन्हाई न हो
मैं शुआ-ए-महर का मारा सही लेकिन यहाँ
कौन है यारो जो इस सूरज का शैदाई न हो
गुंग भी हैं देख कर बदले हुए मंज़र यहाँ
और ऐसा भी नहीं हम में कि गोयाई न हो
मैं तो अपनी ज़ात का इक रेज़ा-ए-ग़ुम-गश्ता हूँ
वो मुझे ढूँडेगा क्या जो मेरा शैदाई न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Aashiq Shayari Shayari