main tiri dastaras se bahut door tha | मैं तिरी दस्तरस से बहुत दूर था

  - Ameen Rahat Chugtai

main tiri dastaras se bahut door tha
phir bhi nazdeek aane pe majboor tha

aaj main hi saza-waar-e-jaur-o-sitam
kal tiri maang ka main hi sindoor tha

kaun aata hai yun zer-e-daam in dinon
raat tareek thi aashiyaan door tha

kuchh khuloos-e-wafaa par bhi naadim tha main
aur kuchh dil ke zakhamon se bhi choor tha

aaina dekh kar yun nadaamat hui
main ki raahat hoon ab pehle mansoor tha

मैं तिरी दस्तरस से बहुत दूर था
फिर भी नज़दीक आने पे मजबूर था

आज मैं ही सज़ा-वार-ए-जौर-ओ-सितम
कल तिरी माँग का मैं ही सिंदूर था

कौन आता है यूँ ज़ेर-ए-दाम इन दिनों
रात तारीक थी आशियाँ दूर था

कुछ ख़ुलूस-ए-वफ़ा पर भी नादिम था मैं
और कुछ दिल के ज़ख़्मों से भी चूर था

आइना देख कर यूँ नदामत हुई
मैं कि 'राहत' हूँ अब पहले मंसूर था

  - Ameen Rahat Chugtai

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameen Rahat Chugtai

As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai

Similar Writers

our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari