mere badan se kabhi aanch is tarah aaye
lipt ke mujh se mere saath vo bhi jal jaaye
main aag hoon to mere paas koi kyun baithe
main raakh hoon to koi kyun kuredne aaye
bhare dayaar mein ab is ko kis tarah dhunden
hawa chale to kahi boo-e-ham-nafs aaye
ye raat aur rivaayat ki ye zanjeeren
gali ke mod se do lautte hue saaye
wahi badan wahi chehra wahi libaas magar
koi kahaan se basaavan ka moo-qalam laaye
koi to baat hui hai ajeeb si raahat
ki aaina bhi na vo chhode aur sharmaae
मिरे बदन से कभी आँच इस तरह आए
लिपट के मुझ से मिरे साथ वो भी जल जाए
मैं आग हूँ तो मिरे पास कोई क्यूँ बैठे
मैं राख हूँ तो कोई क्यूँ कुरेदने आए
भरे दयार में अब इस को किस तरह ढूँडें
हवा चले तो कहीं बू-ए-हम-नफ़स आए
ये रात और रिवायात की ये ज़ंजीरें
गली के मोड़ से दो लौटते हुए साए
वही बदन वही चेहरा वही लिबास मगर
कोई कहाँ से 'बसावन' का मू-क़लम लाए
कोई तो बात हुई है अजीब सी 'राहत'
कि आइना भी न वो छोड़े और शरमाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Baaten Shayari Shayari