kisi makaan ke dariche ko vaa to hona tha
mujhe kisi na kisi din sada to hona tha
jise khameeda saroon se mile qad-o-qamat
use kisi na kisi din khuda to hona tha
main jaanta tha jabeenon pe bal padenge magar
qalam ka qarz tha aakhir ada to hona tha
ye kya zaroor pata poochte phiren us ka
mila hi yun tha vo jaise juda to hona tha
vo pichhli raat ki khushboo rachi rachi si fazaa
sehar qareeb thi waqf-e-dua to hona tha
ham ek jaan hi sahi dil to apne apne the
kahi kahi se fasana juda to hona tha
main aaina tha chhupata kisi ko kya raahat
vo dekhta mujhe jab bhi khafa to hona tha
किसी मकाँ के दरीचे को वा तो होना था
मुझे किसी न किसी दिन सदा तो होना था
जिसे ख़मीदा सरों से मिले क़द-ओ-क़ामत
उसे किसी न किसी दिन ख़ुदा तो होना था
मैं जानता था जबीनों पे बल पड़ेंगे मगर
क़लम का क़र्ज़ था आख़िर अदा तो होना था
ये क्या ज़रूर पता पूछते फिरें उस का
मिला ही यूँ था वो जैसे जुदा तो होना था
वो पिछली रात की ख़ुशबू रची रची सी फ़ज़ा
सहर क़रीब थी वक़्फ़-ए-दुआ तो होना था
हम एक जाँ ही सही दिल तो अपने अपने थे
कहीं कहीं से फ़साना जुदा तो होना था
मैं आइना था छुपाता किसी को क्या राहत
वो देखता मुझे जब भी ख़फ़ा तो होना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Sach Shayari Shayari