aql se kaam kar | अक़्ल से काम कर

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

aql se kaam kar
dehr mein naam kar

main ne dekha use
apna dil thaam kar

qaum ka ho bhala
aisa iqdaam kar

apna har ranj-o-gham
tu mere naam kar

zindagi hai yahi
subh se shaam kar

mol apna badha
mujh ko be-daam kar

der haafiz na ho
jald har kaam kar

अक़्ल से काम कर
दहर में नाम कर

मैं ने देखा उसे
अपना दिल थाम कर

क़ौम का हो भला
ऐसा इक़दाम कर

अपना हर रंज-ओ-ग़म
तू मिरे नाम कर

ज़िंदगी है यही
सुब्ह से शाम कर

मोल अपना बढ़ा
मुझ को बे-दाम कर

देर 'हाफ़िज़' न हो
जल्द हर काम कर

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari