dil mein dhadkan lab mein jumbish chahiye
zinda rahne ko ye varzish chahiye
aadmi hone ka dene ko suboot
paanv mein thodi si laghzish chahiye
baithe baithe qismaten banti nahin
azm mehnat aur koshish chahiye
imtizaaj-e-aish-o-gham hai zindagi
laakh khushiyaan bhi hon ranjish chahiye
haafiz us ko justuju suraj ki hai
aur tumhein bhi ek mahvish chahiye
दिल में धड़कन लब में जुम्बिश चाहिए
ज़िंदा रहने को ये वर्ज़िश चाहिए
आदमी होने का देने को सुबूत
पाँव में थोड़ी सी लग़्ज़िश चाहिए
बैठे बैठे क़िस्मतें बनती नहीं
अज़्म मेहनत और कोशिश चाहिए
इम्तिज़ाज-ए-ऐश-ओ-ग़म है ज़िंदगी
लाख ख़ुशियाँ भी हों रंजिश चाहिए
'हाफ़िज़' उस को जुस्तुजू सूरज की है
और तुम्हें भी एक महविश चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki
our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki
As you were reading Mehnat Shayari Shayari