door ke dhol suhaane hain
sadiyon ke afsaane hain
sham-e-mohabbat jal ke samajh
ham tere parwaane hain
dil mein utar kar dekho zara
chaahat ke tah-khaane hain
maang rahe hain tujh se wafa
ham bhi kya deewane hain
yaaron ki bad niyyat se
sharminda yaaraane hain
haafiz ab tukde tukde
zehan ke taane-baane hain
दूर के ढोल सुहाने हैं
सदियों के अफ़्साने हैं
शम-ए-मोहब्बत जल के समझ
हम तेरे परवाने हैं
दिल में उतर कर देखो ज़रा
चाहत के तह-ख़ाने हैं
माँग रहे हैं तुझ से वफ़ा
हम भी क्या दीवाने हैं
यारों की बद निय्यत से
शर्मिंदा याराने हैं
'हाफ़िज़' अब टुकड़े टुकड़े
ज़ेहन के ताने-बाने हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki
our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari