phool nahin to kaanta de | फूल नहीं तो काँटा दे

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

phool nahin to kaanta de
mujh ko koi tohfa de

shabnam maang rahe hain gul
apni aankhen chhalaka de

patthar kaat ke keede ko
paalne waala daana de

dhoop mein jalta hai din bhar
suraj ko ik chashma de

haafiz waqt agar chahe
haatim ko bhi qaasa de

फूल नहीं तो काँटा दे
मुझ को कोई तोहफ़ा दे

शबनम माँग रहे हैं गुल
अपनी आँखें छलका दे

पत्थर काट के कीड़े को
पालने वाला दाना दे

धूप में जलता है दिन भर
सूरज को इक चश्मा दे

'हाफ़िज़' वक़्त अगर चाहे
हातिम को भी कासा दे

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari