ranj-o-gham laakh hon muskuraate raho | रंज-ओ-ग़म लाख हों मुस्कुराते रहो

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

ranj-o-gham laakh hon muskuraate raho
dost dushman se milte milaate raho

ye andhere hain mehmaan ik raat ke
tum magar subh tak jagmagate raho

main bhulaane ki koshish karunga tumhein
tum mujhe roz-o-shab yaad aate raho

raah ke pech-o-kham khud suljh jaayenge
soo-e-manzil qadam ko badhaate raho

abr ban kar barsate raho har taraf
umr shaadaabiyon ki badhaate raho

maut aaye to khaamosh kar jaayegi
zindagi geet hai is ko gaate raho

taaza dam mujh ko rakhna hai haafiz to phir
har qadam par mujhe aazmaate raho

रंज-ओ-ग़म लाख हों मुस्कुराते रहो
दोस्त दुश्मन से मिलते मिलाते रहो

ये अँधेरे हैं मेहमान इक रात के
तुम मगर सुब्ह तक जगमगाते रहो

मैं भुलाने की कोशिश करूँगा तुम्हें
तुम मुझे रोज़-ओ-शब याद आते रहो

राह के पेच-ओ-ख़म ख़ुद सुलझ जाएँगे
सू-ए-मंज़िल क़दम को बढ़ाते रहो

अब्र बन कर बरसते रहो हर तरफ़
उम्र शादाबियों की बढ़ाते रहो

मौत आए तो ख़ामोश कर जाएगी
ज़िंदगी गीत है इस को गाते रहो

ताज़ा दम मुझ को रखना है 'हाफ़िज़' तो फिर
हर क़दम पर मुझे आज़माते रहो

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari