ye mehakte hue jazbaat ye ashaar ke phool | ये महकते हुए जज़्बात ये अशआर के फूल

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

ye mehakte hue jazbaat ye ashaar ke phool
kaash kaam aayein kisi ke mere afkaar ke phool

mere dil ne jo saja rakhe hain zakhamon ki tarah
khil na paaye kisi gulshan mein vo mea'ar ke phool

soonghti hain unhen khush ho ke behishti hooren
sarfaroshon ke badan par hain jo talwaar ke phool

ye mere ashk-e-nadaamat hain khuda ko mehboob
duniya waalon ki nigaahon mein hain be-kaar ke phool

mujh ko tohfe mein ata us ne kiye hain haafiz
kabhi inkaar ke kaante kabhi iqaar ke phool

ये महकते हुए जज़्बात ये अशआर के फूल
काश काम आएँ किसी के मिरे अफ़्कार के फूल

मेरे दिल ने जो सजा रक्खे हैं ज़ख़्मों की तरह
खिल न पाए किसी गुलशन में वो मेआ'र के फूल

सूँघती हैं उन्हें ख़ुश हो के बहिश्ती हूरें
सरफ़रोशों के बदन पर हैं जो तलवार के फूल

ये मिरे अश्क-ए-नदामत हैं ख़ुदा को महबूब
दुनिया वालों की निगाहों में हैं बे-कार के फूल

मुझ को तोहफ़े में अता उस ने किए हैं 'हाफ़िज़'
कभी इंकार के काँटे कभी इक़रार के फूल

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari