ye raaz koi jaanne waala bhi nahin hai | ये राज़ कोई जानने वाला भी नहीं है - Amjad Husain Hafiz Karnataki

ye raaz koi jaanne waala bhi nahin hai
suraj ki viraasat mein ujaala bhi nahin hai

sau raaste kamaane ke nazar aate hain lekin
khaane ke liye ek nivaala bhi nahin hai

lab naam tira lene se katraane lage hain
haalaanki tujhe dil se nikala bhi nahin hai

kyun surkh hua hai ye falak aaj sar-e-shaam
main ne to lahu apna uchhaala bhi nahin hai

vo lafz hoon main jo na ada ho saka haafiz
vo baat hoon main jis ka hawala bhi nahin hai

ये राज़ कोई जानने वाला भी नहीं है
सूरज की विरासत में उजाला भी नहीं है

सौ रस्ते कमाने के नज़र आते हैं लेकिन
खाने के लिए एक निवाला भी नहीं है

लब नाम तिरा लेने से कतराने लगे हैं
हालाँकि तुझे दिल से निकाला भी नहीं है

क्यों सुर्ख़ हुआ है ये फ़लक आज सर-ए-शाम
मैं ने तो लहू अपना उछाला भी नहीं है

वो लफ़्ज़ हूँ मैं जो न अदा हो सका 'हाफ़िज़'
वो बात हूँ मैं जिस का हवाला भी नहीं है

- Amjad Husain Hafiz Karnataki
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari