aadmi noor hai | आदमी नूर है

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

aadmi noor hai
jalwa-e-toor hai

rab hai mukhtar-e-kul
banda majboor hai

nashsha-e-hirs mein
har koi choor hai

saalihoon ke liye
waada-e-hoor hai

kya hai sehuniyat
ek naasoor hai

mughliya saltanat
azm-e-taimoor hai

haafiz insaan se
zindagi door hai

आदमी नूर है
जल्वा-ए-तूर है

रब है मुख़्तार-ए-कुल
बंदा मजबूर है

नश्शा-ए-हिर्स में
हर कोई चूर है

सालिहों के लिए
वादा-ए-हूर है

क्या है सेहुनियत
एक नासूर है

मुग़्लिया सल्तनत
अज़्म-ए-तैमूर है

'हाफ़िज़' इंसान से
ज़िंदगी दूर है

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari