kai jalwe tiri pehchaan ke dhoke se nikle hain
siyaasat saikdon chehre tire chehre se nikle hain
hamaare daur ke bacche sabq padhte hain chaahat ka
kitaabon ke bajaae dil har ik baste se nikle hain
har ik bhaai ki khwaahish hai ki batwaara ho ab ghar ka
abhi ham mulk ki taqseem ke sadme se nikle hain
idhar dekho yahan maa hai udhar hai baap bacchon ka
zamaane bhar ke sab rishte isee rishte se nikle hain
rasan tak koi jaata hai koi maqtal talak haafiz
jo raaste husn waalon ke haseen kooche se nikle hain
कई जल्वे तिरी पहचान के धोके से निकले हैं
सियासत सैंकड़ों चेहरे तिरे चेहरे से निकले हैं
हमारे दौर के बच्चे सबक़ पढ़ते हैं चाहत का
किताबों के बजाए दिल हर इक बस्ते से निकले हैं
हर इक भाई की ख़्वाहिश है कि बटवारा हो अब घर का
अभी हम मुल्क की तक़्सीम के सदमे से निकले हैं
इधर देखो यहाँ माँ है उधर है बाप बच्चों का
ज़माने भर के सब रिश्ते इसी रिश्ते से निकले हैं
रसन तक कोई जाता है कोई मक़्तल तलक 'हाफ़िज़'
जो रस्ते हुस्न वालों के हसीं कूचे से निकले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki
our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki
As you were reading Chaahat Shayari Shayari