dekho apni aankh-micholi ek haqeeqat ho gai na | देखो अपनी आँख-मिचौली एक हक़ीक़त हो गई ना

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

dekho apni aankh-micholi ek haqeeqat ho gai na
tum se mujh ko mujh se tum ko aaj mohabbat ho gai na

main ne kaha tha dhoop mein mere saath na tum chal paoge
mailee mailee tumhaari ujli chaand si soorat ho gai na

mehfil mein hanste hain lekin tanhaai mein rote hain
ek si meri aur tumhaari ab ye haalat ho gai na

dozakh mein pahunchaaye badon ko un ke dikhaave ke sajde
bacchon ko maa ki khidmat se haasil jannat ho gai na

deed ka main bhooka hoon haafiz us ka rukh hai ik lukma
us ko dekha to poori aankhon ki zaroorat ho gai na

देखो अपनी आँख-मिचौली एक हक़ीक़त हो गई ना
तुम से मुझ को मुझ से तुम को आज मोहब्बत हो गई ना

मैं ने कहा था धूप में मेरे साथ न तुम चल पाओगे
मैली मैली तुम्हारी उजली चाँद सी सूरत हो गई ना

महफ़िल में हँसते हैं लेकिन तन्हाई में रोते हैं
एक सी मेरी और तुम्हारी अब ये हालत हो गई ना

दोज़ख़ में पहुँचाए बड़ों को उन के दिखावे के सज्दे
बच्चों को माँ की ख़िदमत से हासिल जन्नत हो गई ना

दीद का मैं भूका हूँ 'हाफ़िज़' उस का रुख़ है इक लुक़्मा
उस को देखा तो पूरी आँखों की ज़रूरत हो गई ना

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari