meri wafa ki vo pehchaan bhi nahin rakhte | मिरी वफ़ा की वो पहचान भी नहीं रखते

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

meri wafa ki vo pehchaan bhi nahin rakhte
sila to door hai ehsaan bhi nahin rakhte

vo barkaton ke farishton ke intizaar mein hain
gharo mein apne jo quraan bhi nahin rakhte

jinhen khuloos ki khushboo aziz hoti hai
vo apni mez pe gul-daan bhi nahin rakhte

vo haadson se daraate hain apne bacchon ko
diyon ke saamne toofaan bhi nahin rakhte

bade ajeeb musaafir hain ham bhi ai haafiz
safar pe nikle hain samaan bhi nahin rakhte

मिरी वफ़ा की वो पहचान भी नहीं रखते
सिला तो दूर है एहसान भी नहीं रखते

वो बरकतों के फ़रिश्तों के इंतिज़ार में हैं
घरों में अपने जो क़ुरआन भी नहीं रखते

जिन्हें ख़ुलूस की ख़ुशबू अज़ीज़ होती है
वो अपनी मेज़ पे गुल-दान भी नहीं रखते

वो हादसों से डराते हैं अपने बच्चों को
दियों के सामने तूफ़ान भी नहीं रखते

बड़े अजीब मुसाफ़िर हैं हम भी ऐ 'हाफ़िज़'
सफ़र पे निकले हैं सामान भी नहीं रखते

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari