ahmad babloo baabu salma | अहमद बब्लू बाबू सलमा

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

ahmad babloo baabu salma
ek jamaat ke ye bacche
akhlaaqi ghante mein dekho
jam'a hue hain ik ik kar ke
nazm-o-zabt jamaat mein tha
uf nahin karta tha koi baccha
ye jo kahaani ka tha ghanta
sab ko shauq kahaani ka tha
dekho class mein ustaad aaye
uth ke khade hue saare bacche
sab ne kiya salaam ab un ko
bacche the sab man ke achhe
ham awaaz tha har ik baccha
ham hain kahaani ke sab shaida
sab ne mil kar kiya taqaza
ham ko sunaaiye achha qissa
sun kar bacchon se ye baatein
ho gaye khush ustaad isee dam
munnu chunnoo mannū khush the
qaabil-e-deed hai shauq ka aalam
teacher ne jo chhedi kahaani
bacche hama-tan gosh hue sab
khaamoshi thi har chehre par
sab se kaha ye teacher ne ab
ek pahaadi ke daaman mein
qaryaa ik shaadaab tha baccho
gaav mein ik charvaha bhi tha
haan vo bahut naadaan tha pyaaro
roz pahaadi par vo jaata
bakriyaan apni khud hi charaata
din bhar haanktaa vo gale ko
shaam dhale ghar waapas aata
ik din us ko soojhi sharaarat
rah rah kar us ne chillaaya
logo aao mujh ko bachao
sher ne bola hai ab dhaava
latthe bhaale barchiyaan le kar
bhaage aaye log barabar
paaya salaamat charvahe ko
kehne laga charvaha hans kar
sher yahan aaya nahin koi
yun hi sharaarat main ne ki thi
shukriya aap yahan sab aaye
aap ki hamdardi hai sacchi
main ne sab ko yun hi parkha
imtihaan aap ki chaahat ka tha
khush hoon aap ki hamdardi par
main ne pyaar sabhon ka paaya
tha ye kartab charvahe ka
us ne ullu sab ko banaya
maayusi ke saath vo laute
jhoota charvahe ko paaya

izzat charvahe ne ganwaai
ab ke munh ki us ne khaai
charvahe ki nadaani par
di qarye waalon ne dahaai
hariyaali ka mausam aaya
ghalle ne bhi chaara paaya
tha masroor bahut charvaha
us ne khushi ka naghma gaaya
us ne ab manzar ye dekha
sher hai ghalle mein aa dhamka
ghabra kar phir vo chillaaya
dekho sher ne kar diya hamla
gaav mein cheekhen suni logon ne
ek mazaak use sab samjhe
aaya na koi us ki madad ko
pad gaye jaan ke laale dekho
sher ka ban gaya baccho nivaala
charvahe ka saara gila
phir charvahe par hua jo hamla
khaatma ho gaya charvahe ka
shab ka hua gahra sannaata
charvaha ab ghar nahin aaya
us ki maa bahnen theen pareshaan
badh gaya un par khauf ka saaya
doosre din ka suraj nikla
gaav mein charvahe ka tha charcha
sab ne pahaadi par ja dekha
gham tha pata ab charvahe ka
qissa khatm hua ye baccho
tum ho kyun gamgeen ye bolo
charvahe ki fikr ko chhodo
charvahe se sabq ye seekho
jhooth se jaan gai thi us ki
baat hamesha kehna sacchi
maano jhooth bala hai baccho
us se hamesha bach kar rahiyo
jhooth se jaan bhi ja sakti hai
jhooth to ik andhi shakti hai
jhooth gunaah hai jaano baccho
dozakh milti hai jhooton ko pyaaro
chhodo sharaarat saari chhodo
sacchaai ko bas apnao

अहमद बब्लू बाबू सलमा
एक जमाअत के ये बच्चे
अख़लाक़ी घंटे में देखो
जम्अ हुए हैं इक इक कर के
नज़्म-ओ-ज़ब्त जमाअत में था
उफ़ नहीं करता था कोई बच्चा
ये जो कहानी का था घंटा
सब को शौक़ कहानी का था
देखो क्लास में उस्ताद आए
उठ के खड़े हुए सारे बच्चे
सब ने किया सलाम अब उन को
बच्चे थे सब मन के अच्छे
हम आवाज़ था हर इक बच्चा
हम हैं कहानी के सब शैदा
सब ने मिल कर किया तक़ाज़ा
हम को सुनाइए अच्छा क़िस्सा
सुन कर बच्चों से ये बातें
हो गए ख़ुश उस्ताद इसी दम
मुन्नू चुन्नू मन्नू ख़ुश थे
क़ाबिल-ए-दीद है शौक़ का आलम
टीचर ने जो छेड़ी कहानी
बच्चे हमा-तन गोश हुए सब
ख़ामोशी थी हर चेहरे पर
सब से कहा ये टीचर ने अब
एक पहाड़ी के दामन में
क़र्या इक शादाब था बच्चो
गाँव में इक चरवाहा भी था
हाँ वो बहुत नादान था प्यारो
रोज़ पहाड़ी पर वो जाता
बकरियाँ अपनी ख़ुद ही चराता
दिन भर हाँकता वो गले को
शाम ढले घर वापस आता
इक दिन उस को सूझी शरारत
रह रह कर उस ने चिल्लाया
लोगो आओ मुझ को बचाओ
शेर ने बोला है अब धावा
लट्ठे भाले बर्छियाँ ले कर
भागे आए लोग बराबर
पाया सलामत चरवाहे को
कहने लगा चरवाहा हँस कर
शेर यहाँ आया नहीं कोई
यूँ ही शरारत मैं ने की थी
शुक्रिया आप यहाँ सब आए
आप की हमदर्दी है सच्ची
मैं ने सब को यूँ ही परखा
इम्तिहाँ आप की चाहत का था
ख़ुश हूँ आप की हमदर्दी पर
मैं ने प्यार सभों का पाया
था ये कर्तब चरवाहे का
उस ने उल्लू सब को बनाया
मायूसी के साथ वो लौटे
झूटा चरवाहे को पाया

इज़्ज़त चरवाहे ने गँवाई
अब के मुँह की उस ने खाई
चरवाहे की नादानी पर
दी क़र्ये वालों ने दहाई
हरियाली का मौसम आया
ग़ल्ले ने भी चारा पाया
था मसरूर बहुत चरवाहा
उस ने ख़ुशी का नग़्मा गाया
उस ने अब मंज़र ये देखा
शेर है ग़ल्ले में आ धमका
घबरा कर फिर वो चिल्लाया
देखो शेर ने कर दिया हमला
गाँव में चीख़ें सुनीं लोगों ने
एक मज़ाक़ उसे सब समझे
आया न कोई उस की मदद को
पड़ गए जान के लाले देखो
शेर का बन गया बच्चो निवाला
चरवाहे का सारा गिला
फिर चरवाहे पर हुआ जो हमला
ख़ात्मा हो गया चरवाहे का
शब का हुआ गहरा सन्नाटा
चरवाहा अब घर नहीं आया
उस की माँ बहनें थीं परेशाँ
बढ़ गया उन पर ख़ौफ़ का साया
दूसरे दिन का सूरज निकला
गाँव में चरवाहे का था चर्चा
सब ने पहाड़ी पर जा देखा
ग़म था पता अब चरवाहे का
क़िस्सा ख़त्म हुआ ये बच्चो
तुम हो क्यूँ ग़मगीं ये बोलो
चरवाहे की फ़िक्र को छोड़ो
चरवाहे से सबक़ ये सीखो
झूट से जान गई थी उस की
बात हमेशा कहना सच्ची
मानो झूट बला है बच्चो
उस से हमेशा बच कर रहियो
झूट से जान भी जा सकती है
झूट तो इक अंधी शक्ति है
झूट गुनाह है जानो बच्चो
दोज़ख़ मिलती है झूटों को प्यारो
छोड़ो शरारत सारी छोड़ो
सच्चाई को बस अपनाओ

  - Amjad Husain Hafiz Karnataki

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Husain Hafiz Karnataki

As you were reading Shayari by Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Husain Hafiz Karnataki

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari