aks kitne utar gaye mujh mein | अक्स कितने उतर गए मुझ में

  - Ammar Iqbal

aks kitne utar gaye mujh mein
phir na jaane kidhar gaye mujh mein

main ne chaaha tha zakham bhar jaayen
zakham hi zakham bhar gaye mujh mein

main vo pal tha jo kha gaya sadiyaan
sab zamaane guzar gaye mujh mein

ye jo main hoon zara sa baaki hoon
vo jo tum the vo mar gaye mujh mein

mere andar thi aisi taarikee
aa ke aaseb dar gaye mujh mein

pehle utara main dil ke dariya mein
phir samundar utar gaye mujh mein

kaisa mujh ko bana diya ammaar
kaun sa rang bhar gaye mujh mein

अक्स कितने उतर गए मुझ में
फिर न जाने किधर गए मुझ में

मैं ने चाहा था ज़ख़्म भर जाएँ
ज़ख़्म ही ज़ख़्म भर गए मुझ में

मैं वो पल था जो खा गया सदियाँ
सब ज़माने गुज़र गए मुझ में

ये जो मैं हूँ ज़रा सा बाक़ी हूँ
वो जो तुम थे वो मर गए मुझ में

मेरे अंदर थी ऐसी तारीकी
आ के आसेब डर गए मुझ में

पहले उतरा मैं दिल के दरिया में
फिर समंदर उतर गए मुझ में

कैसा मुझ को बना दिया 'अम्मार'
कौन सा रंग भर गए मुझ में

  - Ammar Iqbal

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari