vaham ke kaante hataaye tere man se na gaye
minnaten kii na gaeein sar bhi jhukaaye na gaye
rokna chaaha na jab ja rahi thi chhod ke tu
dekhta rah gaya do lafz bhi bole na gaye
ik sitam hai ki mohabbat se mukarta main raha
ik sitam ye ki magar ashk bhi roke na gaye
raat bhar dil mein jali yaad kii lau yoon teri
subah phir kaanch ke tukde bhi samete na gaye
hai wafa yoon ki tere baad bhi ai jaan-e-jahaan
phool fenke na gaye khat tere faade na gaye
meri aankhon ko yoon tadpaaya tere chehre ne jaan
ki kabhi aankhon se phir khwaab bhi dekhe na gaye
raahen maine yoon chuni khud kii tabaahi ke liye
paanv chhilte rahe par raaste badle na gaye
likkha kya kuchh na tha shehzaadi tere sajde mein par
bin tere nazm bhi rehaan se likkhe na gaye
वहम के काँटें हटाए तेरे मन से न गए
मिन्नतें की न गईं सर भी झुकाए न गए
रोकना चाहा न जब जा रही थी छोड़ के तू
देखता रह गया दो लफ़्ज़ भी बोले न गए
इक सितम है कि मोहब्बत से मुकरता मैं रहा
इक सितम ये कि मगर अश्क भी रोके न गए
रात भर दिल में जली याद की लौ यूॅं तेरी
सुब्ह फिर काँच के टुकड़े भी समेटे न गए
है वफ़ा यूॅं कि तेरे बाद भी ऐ जान-ए-जहाँ
फूल फेंके न गए ख़त तेरे फाड़े न गए
मेरी आँखों को यूॅं तड़पाया तेरे चेहरे ने जाँ
कि कभी आँखों से फिर ख़्वाब भी देखे न गए
राहें मैंने यूॅं चुनी ख़ुद की तबाही के लिए
पाँव छिलते रहे पर रास्ते बदले न गए
लिक्खा क्या कुछ न था शहज़ादी तेरे सज्दे में पर
बिन तेरे नज़्म भी 'रेहान' से लिक्खे न गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehaan
our suggestion based on Rehaan
As you were reading Rose Shayari Shayari